Ola Electric Scooter Ke Do Variant Huye Launch, जाने इसके फीचर्स और कीमत के बारे में

author FKM Content Writer

Apne ola cab ke bare me to suna hi hoga? jaisa ki hum sab jante hai ki ola cab ek mobile application par based cab service hai.

Is app ke jariye aap ghar baithe hi ola cab ko book kar sakte hai. Aap apni city me ola cab ko book karke kahi bhi ja sakte hai.

Ola cab ko book karne ke liye aapko iski application ko download karna padta hai or fir aap bahut aasani se cab book kar sakte hain.

Ola Electric Scooter Launch

Aaiye Jante Hain Kaha Se Huyi Ola Cabs Ki Starting?

Ola ek Indian Company hai. Iski shuruaat 3 December 2010 ko Mumbai shehar se ki gayi thi. Bhavish Agarwal ola ke chairman hain aur jab inhone ise start kiya tab unki age kewal 25 saal thi.

Jaisa ki aap sab janta hai ki ola me car ya bike book karke aap shehar me kahi bhi ja sakte hai. 

Lekin kya aap ye baat jante hai ki ola company ne ek new ola scooter launch kar diya hai? Agar nahi to aaiye jante hai……

Ola Electric Scooter Ki Launch Date

Ola users ke liye ye kisi badi khushi se kam nahi hai ki ola ka ek naya electric scooter launch ho gaya hai. 15 august 2021 ko automobile sector apne grahako ke liye ek naya tohfa leke aaya hai. Ise do variant  me launch kiya gaya hai, ola S1 or ola S1 pro.

sabse khaas bat ye hai ki ola S1 ki official vikari 8 september 2021 se shuru ho gayi hai. wahin desh ke 1000 shehro mein iski delivery isi saal ki jayegi.  

Janiye Kya Honge Iske Specifications

performance 

in dono ki power performance ki baat karen to, dono me ek jaisa hi electric motor diya gya hai, jo ki 8.5 kw ki maximum power or sath hi 58 nm ka peek talk generate krta hai. 

battery 

ola S1 variant  me power ke liye 2.98 kwh ki battery di gayi hai. full charge karne par 121 kilometer chalegi. wahin dusre variant ola S1 pro me power ke liye 3.97 kwh ki battery di gayi hai. full charge karne par ye 181 kilometer ka safar kar skti hai.

Ola S1 Or Ola S1 Pro Ki Price List 

ex- showroom price

ola S1

ola S1 Pro

Delhi 

85,099 Rs

1,10,149 Rs

Gujarat

79,999 Rs

1,09,999 Rs

rajasthan 

89,968 Rs

1,19,138 Rs

dusre sabhi rajyon me

99,999 Rs

1,29,999 Rs

Kaisi hai raftar ?

agr iski raftar ki bat kare to S1 pro wale variant me sabse adhik 115kmph ki top speed hai, wahin dusre variant ola S1 me 90kmph ki top speed di gayi hai. 

Logo ki alg-alg pasand ko dhayn me rakhte huye ola S1 ko 5 colour option or ola S1 pro ko 10 colour options ke sath launch kiya gaya hai.

Kaise Hogi Ola Scooter Ki delivery 

Aisi kuch khabar bhi samne aayi hai ki electric scooter ko dealership ke madhyam se bachne ki bajaye iski home delivery ki jayegi.

Olascoter Ko Kaise Book Karen 

ola scooter ko agr aap reserve kar chuke hai yani uska pre booking amount de chuke hai to aapke liye isko book karna kafi jyada aasan ho jaega. apne mobile number ka use  karke ola electric scooter ki website par log-in karen. ab apke samne is ola scooter ka variant select karne ka option aayega. Iske baad colour option ko select karen. or apne pasand ki hisab se book karen.  lekin agar aapne ola scooter ki token money nahi di hai to fir usko pre book kar sakte hai. 

Ola Electric Scooter Ke Bare Me Khaas Batein

  • Ek khareedar kai sare scooters ko reserve kar sakta hai.

  • Ola scooter ko reserve karne ke liye kisi bhi documents ki jarurat nahi hai. Buyers kewal otp ke madhyam se apne number se login kar sakte hai.

  • Order kiye gaye ola scooter Ko cancel ya fir usme kisi bhi tarah ka change kiya ja sakta hai or iska booking amount bhi refundable hai. Koi bhi booking cancel karne ke baad 7 se 10 working day ke andar apka paisa apko waps mil jaega.

  • Ola electric two wheeler wahano ki series me pehla scooter hai. Jise tamilnadu me 500 ekad ki site par banaya ja raha hai.  

Aasha krti hoon apko Is article se ola electric scooter ke baare me kaafi jankari mil gayi hogi. agar apko ye jankari achhi lage ho to ise aage jarur share karen. hum apko aage bhi aisi hi achhi or useful jankari dene ki koshish karenge. 

Frequently Asked Questions

Q. kya ola electric scooter ki battery removable hai? 

 A.  Iske launch ke time aisa bataya gaya tha ki iski battery removable hogi but fir baad me ise fixed battery ke sath launch kiya hai.

Q. Ola electric scooter ko kaise kar sakte hai book?

A.Ola electric scooter ko book karne ke liye aapko sabse pehle iski website yani olaelectric.com par jana hoga. fir uske baad iske variant ko select karen ab apne pasand ke hisanb se colour chune or ise book karen.

Q. Kitna hai iska weight?

A. Iska wajan 125 kg hai.

 

About Author

author

FKM

Content Writer

Copyright 2010-2022. FreeKaaMaal.com. All Rights Reserved. All content, trademarks and logos are copyright of their respective owners.

Disclaimer: FreeKaaMaal.com is community platform where our users find and submit deals from various website across the world, we do not guarantee, approve or endorse the information or products available at these sites, nor does a link indicate any association with or endorsement by the linked site to FreeKaaMaal.com. Readers are requested to be cautious while shopping at newly launched and non-trusted e-commerce sites.

DMCA.com Protection Status